Waqt kat-ta nahi,
Log mitt jate hain
Ye zamana rehta hai yahin Kahin
Arse beet jaate hain
Ek pal Jo thehra nahi
Uski yaad yunh aati hai
Jis Mein jee rahe hain hum
Woh baat chali jaati hai
Samay ka chakra rukta nahi
Na hi rukte hain log
Bas raet ki taranh nikalte hain
Chord jaatein hai ek rog
Har din jab yun pal ko beet-te hum hain dekhte
Tab nahi hai rehta kuch bas Mein
Phir ek din Sab chord ke sochte hain
Bekaar ke hain rishte, aur kasmein
Phir se samay hai khel khelta
Ek naya chakra shuru hua hai
Jab samjhe hum ki ab aur nahi hain pichli baatein
Tab lagti purani poori hui koi dua hai
Ant yahi hai, ya nayi shuruat
Ye sochte sochte beet jaati hai Phir koi raat
-Diary of an Oxymoron
No comments:
Post a Comment