Friday 21 February 2014

Diary of a PhD Scholar (Continues..)

एक कमरा कहीं एक कोने में
बंजर ज़मीन कि याद दिलाता है
न जाने क्या कमी थी मेहनत में
की हर अनजान हर रोज़ ठोकर खिलवाता है

वो दिन आज भी याद है
जब मैंने यह मकान था बनाने का सोचा
कुछ पैसे थे जेब में मेरे
कुछ इज़ज़त की रोटी कमाने का सोचा

कुछ सालों की मेहनत थी ज़रूरी
और एक एक पत्थर था मुझे ही ढोना
चार दिन की चांदनी निकली
और पढ गया हर कदम पे रोना

जब जब दरवाज़ा हूँ मैं खटखटाती
तब तब यह दिल मेरा है रोता
दिमाग लगाऊं  घर बनाने में पर
जो सोचा था नहीं वो इस ज़माने में है होता

आज कुछ पत्थर और कुछ यादें हैं मेरे पास
जिनके भरोसे मेरी कोशिश है जारी
जब किसी के बने घर को हूँ देखती
सोचती हूँ कब आएगी मेरी खुश होने की बारी

शायद और भी है मेहनत करनी बाकी
इसलिए चलते है रहना
शायद और भी हैं खानी ठोकर
शायद और सुख दुःख है बाकी सहना

जब सोचती हूँ रुक जाऊं
तब सामने दिखाई देता है अधूरा सपना
फिर जागती है हिम्मत कुछ कर जाने की
उन अधूरे हिस्सों को जोड़ बना दूं कुछ अपना

और भी गम हैं ज़माने में
यह घर ही नहीं है सिर्फ एक कहानी
पर अभी के लिए थोडा रुकिये
येह ही अधूरी है करनी पूरी, फिर करेंगे दूसरी सुननी
__________

ek kamra kahin ek kone mein
banjar zameen ki yaad dilata hai
na jaane kya kami thi mehnat mein
ki har anjaan har roz thokar khilwata hai

woh din aaj bhi yaad hai
jab maine yeh makaan tha banane ka socha
kuch paise they jaeb mein mere
kuch izzat ki roti kamane ka socha

kuch saalon ki mehnat thi zaroori
aur ek ek pathar tha mujhe hi dhona
char din ki chandni nikli
aur pad gaya har kadam pe rona

jab jab darwaza hoon mai khatkhati
tab tab yeh dil mera hai rota
dimaag lagaun ghar banane mein par
jo socha tha woh nahi is zamane mein hai hota

aaj kuch pathar aur kuch yaadein hain mere paas
jinke bharose meri koshish hai jaari
jab kisi ke bane ghar ko hoon dekhti
sochti hoon kab aayegi meri khush hone ki baari

shayad abhi aur bhi hai mehnat karni baaki
isliye chalte hain rehna
shayad abhi aur bhi hai khaani thokar
shayad aur sukh-dukh hai baaki sehna

jab sochti hoon ruk Jan
tab saamne dikhai deta hai adhura sapna
phir jaagti hai himmat kuch kar jaane ki
un adhure hizzon ko jod, bana doon kuch apna

aur bhi gam hain zamane mein
ye ghar hi nahi hai sirf ek kahani
par abhi ke liye thoda rukiye
yeh hi adhuri hai karni poori, phir shuru karenge doosri sunani..

No comments:

Post a Comment